New

Close panel
My
Mahzoor smile profile
Send Message
Manzoor Salfee (Mahzoor)
Last seen 2829 Day(s) Ago
Male 41 years old,Sargodha, Punjab
Listen IROPKSMS Send 85832
Smiles 103
Manzoor Salfee @Mahzoor via Iropk @Iropksms

Syedna Abu Hurairah RaziALLAHu Anhu Sy Riwayat Hy
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ny Farmaya:
Jis Shakhs Ny kisi Janazay men Shirkat ki Phir Namaz e Janaza Parhi to Usay 1 Qeraat Ka Sawab Milta hay.
Aur Jo Tadfeen tak Sath Raha to Usay 2 Qeraat ka Sawab Milta hy.
Poch gya 2 Qeraat kitny Hoty hen?
Farmaya: 1 Qeraat Ohad Pahaar k Barabar Hy.
(Sahih Muslim, kitabul Janaiz, H:2192)
2943 Day(s) ago: Mobile
Manzoor Salfee @Mahzoor via Iropk @Iropksms

HaqooquALLAH wa Huqooqul Ebaad:
Al Quran:
Aur Tum Sab ALLAH ki ibadat Kro, Is k Sath kisi ko Shareek Na kro.
Aur Maan Baap k Sath Husn e Salook Kro.
Aur Rishtedaroon Aur Yateemoon Aur Miskeenoon Aur Rishtedar Parosi Aur Ajnabi Parosi, Aur Pas Bethny Waley Aur Musafir Aur Apnay Ghulamon ky sath Bhi Husn e Salook kro.
Beshak ALLAH Asy Shakhs ko Pasand nhi krta jo Takabbur krny wala (maghroor) Aur Fakhar krny wala (Shekhi Khor) ho.
(Surah An-Nisa, 36)
2943 Day(s) ago: Mobile
Manzoor Salfee @Mahzoor

اور ان لوگوں کی طرح نہ ہو جاؤ جو مساجد سے جوتے چوری کرکے بیچتے یا پہنتے ہیں
3010 Day(s) ago: Mobile
Manzoor Salfee @Mahzoor via Iropk @Iropksms

Dars e Toheed: Msg24.
ALLAH ky Siwa Jin ki Ebadat ki Jati hy wo Muhtaj Hen, Aur Mabood Muhtaj nhi hota. Jbky ALLAH Mabod e Haqeeqi hy kyu ky wo kisi ka Mohtaj nhi:
AL-QURAN:
(Ay Nabi! AlaihisSalam) keh dijye ky ALLAH Ek Hy.
ALLAH SAMAD hy.
(Al-Ekhlas- 1-2)
Note:
Samad kehty hen Jo Apni Sardari, Sharafat, Azmat, Hilm, Be-Parwahi, Hukmarani, ilm, Hikmat, Aur Tamam Sifaat e Kamal men Har Aitbar sy Kamil Ho. Aur Tamam Makhloq uski Mohtaj ho, jbky wo kisi ka Mohtaj no ho.
3024 Day(s) ago: Mobile
Manzoor Salfee @Mahzoor via Iropk @Iropksms

Sirf Allah ta’ala se Darna Chiye:

Al Quran: "kya tum un (kaafiro) se darte ho, pas Allah Ta’ala sab se zyaada Haq rakhta hai ke tum us se daro agar tum Emaan waale ho" (Surah Tauba 13)
3029 Day(s) ago: Mobile
Manzoor Salfee @Mahzoor via Iropk @Iropksms

Dars e Toheed: Msg21.
Part 2/2
AL-QURAN:
Kya Aap Ny Nhi Dekha ky ALLAH ky Samny Sajday men hen Sb Aasman Waly Aur Sb Zameen Waly Aur Soraj Aur Chand Aur Sitary Aur Pahar Aur Darakht Aur Janwar Aur Bohat Sy Insaan bhi.
(Al-Haj: 18)
AL-QURAN:
Ye Hy ALLAH Tumhara Rab! Isky Siwa Koi ebadat ky Laiq nhi, Har Cheez ka Peda karnay wala hy, to Tum Usi Ki Ebadat kro, Aur wo Har Cheez ka karsaz hy.
(Al-Anaam: 102)
3029 Day(s) ago: Mobile
Manzoor Salfee @Mahzoor via Iropk @Iropksms

Dars e Toheed: Msg21.
Part 1/2.
Ye Manay Bagher Koi Musalman Nhi Ho sakta ky:
Sirf ALLAH hi Mabod Hy, usky Siwa Koi Ebadat ky Laiq Nhi, Na Ambiya, Auliya, Na Jinnaat, Farishty, Na Chand, Soraj, Sitare, Na hi Insan, Janwar, Na Pahar, Darya, Samandar, Na Asman, Zameen Waghera.
Balky ye Sb Bhi ALLAH ki Hi Ebadat Krty hen.
(Jari Hay.)

Smile a product of Veevo Tech.

Write Message