New


Close panel
My
4yarhaq smile profile
Send Message
USMAN (4YARHAQ)
Last seen 2102 Day(s) Ago
Male 38 years old,Islamabad, Islamabad
Education at: NUML (Islamabad)
Smiles 1,120 Friends 190Listeners 26Interests 32
Usman @4yarhaq

عاجزی اپناؤ
کہ اللہ عزوجل عاجزی کرنے والوں سے محبت
اور
.تکبر کرنے والوں کو ناپسند فرماتا ہے
(کنز العمال)

2113 Day(s) ago: Mobile
Usman @4yarhaq via Maktab Service @Maktab

Kuch Log Aazan tak Khatay Rehtay Hain Halan k Yeh Ghalat hay, Es Tarah karnay se Roza Nahi hoga, Kitnay Afsos ki baat hay aap Bhokay bhe rahain aor Roza bhe Qubool na ho, Behtar Ye Hay k Roza Bund honay se 5 Mint Pehlay Khana Peena Bund kr Dain,
Ye Qeemti Msg Sab ko Bhejain
Masla:
Sobh Sadiq k Baad Agar 1 Mint bhe Mazeed kha lia to Roza Fasid hay
(Fatawa Usmani
Jild 2, Page 188
Nashir: Maariful Quran Karachi)
2185 Day(s) ago: Mobile
Usman @4yarhaq via Maktab Service @Maktab

Ehtiyatan Subh Sadiq Yani Azan Honay se 2 Minutes Pehlay he Khana Bund kr Dain
Hadees
Bilal Rz.A Raat k waqt Azan diya krtay thay, Es Liye Rasoolullah ne Frmaya k Jab tak ibne Umme Maktoom Azan na Dain Tum Khatay Pitay Raho Kion k Wo Subh Sadiq k Tuloo se Pehlay Azan Nahi Detay
(Bukhari
Hadees1918
Kitab us Soum
Baab: Nabi Alaihe Salam ka Farman Bilal ki azan Tumhain Sehri khanay se Na Rokay
Ravi: Ayesha Rz.A)
2185 Day(s) ago: Mobile
Usman @4yarhaq

Hadees:
Jis Shakhs ko Rozay ne Aysi Cheez k Khanay Peenay se Rokay Rakha Jis ko Uska Dil Chahta tha tou ALLAH usko Jannat k Phal Khilaye Ga aor Jannat k Mashroob Pilaye Ga.
(Shoub uL Eeman,
Jild 3,
Page 410,
Hadees 3634,
Kitab us Soum,
Fasal: Rozon k Baray main A
2185 Day(s) ago: Mobile
Usman @4yarhaq via Maktab Service @Maktab

Molana Yousaf Ludhyanvi Frmatay hain:
Taraweeh Main Quran Sunnay k Liye Ye Shart hay k Aysa Saaf Parha Jaye k 1, 1 Lafz Samajh aye, Jo Log itna Taiz Parhtay hain k Kuch Pata Nahi Chalta k Kia Parh Rahay Hain Wo Nehayat Ghalat Krtay hain,
Unka Parhna, Na Parhna Barabar hay, Bal k Es Tarah Parhna Sawab ki Bajaye Mojab e Wabal hay
(Aap k Masail Aor unka Hal,
Jild 4, Page 191,
Nashir: Maktaba Ludhyanvi Karachi)
2185 Day(s) ago: Mobile
Usman @4yarhaq via Maktab Service @Maktab

Hadees
Pora Saal Jannat Ramazan k Liye Sajai Jati hay, Jis Shakhs ne Ramazan main Apne Apko Aor Apne Deen ko Mehfooz Rakha, Khobsorat Hoor Se ALLAH Uski Shadi Karwain gay aor Jannat k AaliShan Mahallat main se 1 Mahal dain Gay, Jis Shakhs ne Es Mahinay main koi Burai ki tou uski 1 Saal ki Nekiyan Zaya kr Di Jati hain
(Hadees ki Kitab: Kanzul Ummal,
Hadees 23713
Kitab us Soum
Baab 1, Fasal 2
Ravi: Wasala Rz.A)
2185 Day(s) ago: Mobile
Usman @4yarhaq via Maktab Service @Maktab

-
Roza k Fawaid o Hikmatain,
Roza Roh ki Ghiza hay, Roza se Roh Taqatwar Banti hay, Nafsati Khuwahish ko Dabanay aor Roh ki Safai k Liye Roza se Ziada 2sri Koi Cheez Mufeed Nahi,
Rozay se Qurb e Khuda Wandi Hasil hota hay, Rozay se Bhokay ki Qadar aor insani Hamdardi ka Jazba ubharta hay, Roza se Jismani Amraaz Door ho Jatay hain
(Fatawa Raheemiah
Jild 7, Page 204
Kitab us Soum
Nashir: Darul ishaat Karachi)
2185 Day(s) ago: Mobile
Usman @4yarhaq via Maktab Service @Maktab

Masla: Niyyat Dil k iraday ko Kehtay hain Agar Dil k iraday k sath sath Zaban se bhe Rozay ki niyyat kr Lay tou Acha Hay, Magar Rozay Ki Niyyat Zaban se Kahnay ko zarori samajhna ye sahi nahi,
Roza Subh Sadiq se Lay Kar Suraj Ghuroob Honay tak Hota hay,
Lihaza Agar Subh Sadiq k Baad Kuch Khaya Piya to Roza Nahi hoga
(Fatawa Alamgiri
Jild 1, Page 194-195
Kitab us Soum, Baab 1
Nashir: Maktaba Rashidia Quetta)
2185 Day(s) ago: Mobile
Smile a product of Veevo Tech.

Write Message