Amal se zindagi banti hai, jannat b jahanum b
yeh khaaki apni fitrat mein na noori hai na naari hai
g suno..
Jis ko pa ker hum ye samjhey thay key kuch khoya nahi!
Wo jo bichra hai jesay koi bhi apna nahi’n..
Jin jharonk’on sey hum guzar aye hein..!
In sey barsey bhi to chamaktey huay khanjar barsey!
Thehri hai khamoshi hi agar tarz-e-guftugu!
Khamosh reh key tujh ko pukara kar’en gey hum..!!
Toot key sahil pey bikhar jatey hein..
Aisey rishtey jinh’ein zanjeer nahi’n milti hai….
Toota tilism-e-waqt to kiya dekhta hon mein.!
Ab tak isi jagha pey akela khara hon mein..
Ab zindagi ke shelf mein dhoonda karain ge log
Arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye..